Jumma ki namaz zohar ke waqt parhi jati hai. Farq itna hai keh zohar tanha bhi parh saktay hain magar jumma jamat hi se parha jaye ga. Is main pehle 4 sunnatain phir 2 farz jamaat ke sath phir 4 sunnatain, phir 2 sunnatain, phir 2 nafal. Jumma ke din masjid main jummay ke waqat saaf suthray kapray pehan kar jaye aur jahan jagah milay baith jaye.
Agay baithnay ke liye logon ki gardanain na phalangey aur jis tarah bataya gaya hai sunnatain parh kar khamosh baithay. Agar aisay waqt pohanchay keh Khutba shuru ho gaya ho tou sunnatain farz ke baad parhay keh khutba ke darmiyan koi kaam karna jaez nahin kyoun keh khutba sunna wajib hai' jub imam masjid khutba khatam kar ke khara ho tou tum bhi kharay ho kar jumma ki niyat karo keh main jumma ke farz Allah Ta'ala ke liye is imam ke peechay parhta hon. Phir imam ke sath takbeer keh kar hath band lo aur (sana'a) parh kar khamosh kharay ho kar qirat suno. Baqi jis tarah namaz batayi gayi hai imam ke sath parho. Agar imam se jumma ya eid ki namaz main aisi bhool ho jaye jo sajda sehw se ada ho jaye aur jamat main tadad kaseer ho tou kasrat tadad ki wajah se keh log fitna main na parhain. Jumma aur eidain main shariat mthrah ne sajda sahaf muaf rakha hai. Namaz sahi mani jaye gi.
Namaz-e-Juma Ki Fazilat Urdu Information